This is a poem penned by our music teacher during our school days . I hope you like it...
Dil jalane se kya hoga..
Gham sunane se kya hoga..
Jab talaq zindagi hai..
Pyar ke nagme sunaye ja..
Bhaant Pao tho suk bhaanto..
sirf aanso bahana kya..
sabi ke aapne aapne gham..
kisiko gham sunana kya..
Bhikero kushiya hi kushiya..
Tabh tumhari hogi duniya..
aanke ye ponchkar ..
muskaan ke moti lootaye ja..
ki nahi tanha nahi ho tum..
akele chaalkar tho dekho..
kabhi kudh se karo batein..
kabhi kudh se milkar dekho..
yoo akelepan ka matham..
yoo hee jeekar tho dekho tum..
na ho sathi koyi tho..
Dosti kudh se nibaye ja..
Tho yeh sahi yeh galat hoga..
yoo agar ho tho yoo hoga..
raah mein aaisa bhi hoga..
chah mein waaisa bhi hoga..
tho inn fasano se kya hoga..
inn bahano se kya hoga..
khuda tak agar pahoonchna hai..
kisi se lho lagaye ja.. (lho means prem)
Ki dosto zindagi milthi nahi hai zindagi bhar ko.. ( koi amar hoke tho nahi aaya hai is duniya mein ... )
tho rootna kya zamaane se, kosna kya muqadar ko..
aaj andhyara hai tho kya,kal ujala bhi aayega..
agar naraaz hai sooraj, koi shamma jalaye ja..
Dil Jalane se kya hoga..
Gham sunane se kya hoga ....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment