Sunday, November 14, 2004

Ghar ( in Hindi )

Wonderful poem penned by Ashok Chakradar

Darwaazo se na deewaro se..
Ghar bantha hai gharwalo se..
Achha koi makaan banayega..
paisa bhi khoob lagayega..
par agar rahne ko nahi aayega..
ghar uska bhar jayega..
makadiyo ke jhhaalo se.....

Ghar mein jabh koi na hota hai..
Dadhi hai aur na potha hai..
galath naina hota hai..
bheetar hi bheetar rota hai..
Ghar hasta hai Bhaal Gopalo se..
Na Darwaazo se na Deewaro se..


Aur rahe bhi magar ladayi ho..
Bhai ka dushman bhai ho..
Nandi se tanni Bhaujayi ho..
Paise na ho tho ram duhayi ho...
Ghar Akela rahega sawalo se..
Na Darwaazo se na deewaro se..


Agar prem ke eento ka ujala ho..
har eent mein bhaichaara ho..
kandhho ka , zukaam ka ,sahara ho..
bin kidkiyo mein ujiyara ho..
Ghar na giree bhuchalo se..

Darwaazo se na deewaro se..
Ghar bantha hai gharwalo se..

No comments: